Menu
blogid : 1671 postid : 12

Gazal…..3

कोना एक रुबाई का
कोना एक रुबाई का
  • 82 Posts
  • 907 Comments

Inhee logon me shumar kar do,
mujhe bhi apna beemar kar do.

Ek mukhtasar guzarish hai,
tum mujh pe jaa.n nisaar kar do.

Tamaam gavaho.n ke maddenazar,
mujhe apna gunahgar kar do.

Tum mera daayara ban jaao ya,
mujhi ko apna hisaar kar do.

Pahan lo yaad ka libaas ya fir,
apna jehan taar-taar kar do.

Uda kar mere ye sare khutut,
in sabhi ko tum sayyar kar do…….

Read Comments

    Post a comment

    Leave a Reply

    Your email address will not be published. Required fields are marked *

    CAPTCHA
    Refresh