कोना एक रुबाई का
- 82 Posts
- 907 Comments
Ghar ki har diwar se kyun lipta hai dhuan
kori diwaron par khub khilta hai dhuan…
Sulag raha hai khab koi takiye ke neeche
uneendi ankhon me kaheen siskta hai dhuan…
Uthata hai jab bhi jee ki soz jaag jati hai
angdaaiyan leta hai aor larazta hai dhuan…
Jab bhi utha sawal mere vajood ka
haole se muskura ke vo kahta hai ‘dhuan’…
Bach gayi hai rakh khwahishon ki chulhe me
jab kuch nahee paktaa to paktaa hai dhuan….
Read Comments