Menu
blogid : 1671 postid : 27

anaasir

कोना एक रुबाई का
कोना एक रुबाई का
  • 82 Posts
  • 907 Comments

“SHOLA”

Tukda ik tanhaii ka aor shola hai,
kissa teri judaii ka aor shola hai…

Qaid se teri chhut ke mera hasil ye,
dhabba teri rihaii ka aor shola hai..

Shahar me faili chikho ki badi vajah,
marna ek fidaii ka aor shola hai…

Barf aor paani me itna hee farq to hai,
thoda farq binaai ka aor shola hai..

Aanch aor aatish ke ghar ka bhi naam suno,
kona ek rubaii ka aor shola hai….

“HAWAA”

Fir se laot aayi hai guzri huii hawa,
jaane kyun ranvaa hai thahri huii hawa….

Ab dubne lagee hai dhadkan mere dil ki,
hai ye bhi iik qayamat gahri huii hawa…

Mere shahar me gul bhi sar-e-aaiina rahen,
aaye jo tere shahar se sanvari hui hawa…

Mai jaanta hun kya kya ho rahaa tere saath,
kasid ke baad ab ye khabri huii hawa…

Kab se thi qaid ye kaheen yadon ke dasht me,
khushbu ki zamaanat pe ab bari hui hawa…

Ab zard ho chuka hai meri chanv me har ped,
leti ho jisme saans tum, hari huii hawa…..

Pehlu me rakha tha ise aatish ne aanch ke,
ji bhar ke piyo saqi ,anguri huii hawa…

Read Comments

    Post a comment

    Leave a Reply

    Your email address will not be published. Required fields are marked *

    CAPTCHA
    Refresh